Dar Toh Apna Dost Hai - Aarti Mishra

author-image
By Team Bollyy
New Update
Dar Toh Apna Dost Hai - Aarti Mishra

Dar.. jisne Mahabharat jaise puraan ki rachna ki. Haan... Arjuna jab yudh ke liye yudhbhoomi par kahde the tab apne parivaar or sakha bandhoo ko apne saamne dekh dar gaye the - Aarti Mishra

publive-image

Unhe iss dar ne jakad liya tha ki yeh unke khilaaf kaise yudh lad sakte hain? unko kaise maar sakte hain?

Uss yudhbhoomi par khade rehkar jab voh iss duvidha se joojh rahe the , iss dar se joojh rahe the tab unhone Shri Krishna se sawaal kiye aur unhone Arjuna ko uss dar se saamna karne ke liye kaha.

Arjuna bahut bade dhanurdhaari the aur bahut hi manjhe hue yodha phir bhi ek choti si cheez 'Dar' ne unhe hila diya.

Toh hum toh phir bhi aam log hain jo roz apne chote chote daron ka shikaar ban jaate hain. Dar hai kya?

publive-image

Hum sab dar se darte hain. Kyun? Kyun darte hain hum dar se? Kyunki humaare bachpan se hi humein sikhaaya jaata hai ki darna nahi.

Dar ko bura dikhaaya gaya hai. Issliye hum darne se darte hain. Magar raaz ki baat toh yeh hai ki Dar ka doosra chehra bhi hai.

Dar acha hai. Dar sirf sadak pe khade laal rang ke signal ki tarah hai jo humein saavdhaan karta hai ki , "ruk jaao , aage khatra hai".

Bas iss se zyaada dar aur kuch nahi hai. Hum ek khaai ke kinaare par khade hain aur neeche dekh kar humein dar lag raha hai toh humein samajhna chahiye ki voh humein saavdhaan kar raha hai ki neeche nahi girna hai.

publive-image

Dar ko agar qaabo mein nahi kiya toh yeh humse bahut kuch karwaa sakti hai. Aksar aashiq apne pyaar ko khone ke dar se kya kuch kar lete hain.

Yeh kya hai jo inse dar karwaa deta hai. Ek doosre ko kho dene ka dar itna ho jaata hai ki apne rishte ko khul kar jee bhi nahi paate voh.

Agar ek doosre ko khone ka dar hai toh yeh sochna chahiye ki dar acha hai. Kal ko saath rahein naa rahein issliye aaj ka waqt ek saath bitaa lein, ek doosre ko samajh lein.

Rishton mein dar hona aksar insaano se ghalat kaam karvaa deta hai. Magar Dar ki doosri shakal ko pehchaan na humaare haath mein hai.

publive-image

Jab humein dar lagta hai toh hum chaar mein se ek raasta apnaate hain.
1. Hum chinta karte hain aur dimaag uthal puthal ho jaata hai
2. Hum sunn pad jaate hain aur dimaag jaise wahin jamm jaata hai.
3. Hum uss dar se door bhaagte hain.
4. Hum dar ko dafnaane ki koshish karte hain.

Magar hum jaante hain ki inn chaaron tareekon se humaara dar khatam nahi hota.
Dar ko khatam karne ka ek hi raasta hota hai.. uska saamna karna.

Dar kuch nahi hai bas ek bhaav hai. Baudh dharam ke sanyaasi jinhe 'monk' kaha jaata hai voh dar ka ache se saamna karte hain.

Unka sabse bada tareeka hai dar ki asli wajah jaan na. Ek baar ek aadmi 'monks ' ke paas gaya. Wahaan usse kaha gaya ki aankh band karke apne dimaag mein sabse bada dar socho aur usse mehsoos karo.

Usne aankhein band ki aur apna sabse bada dar socha. Uska sabse bada dar tha bachpan mein imtihaan ka dar.

publive-image

Jab voh gehraai mein gaya toh usne yeh paaya ki usske dar ki wajah imtihaan nahi thi balki asli wajah yeh thi ki imtihaan mein uske kam ank aaye toh uske maa baap kya sochenge aur aas paas ke log kya sochenge. Yeh kuch naya nahi hai. Humaare zyaadatar daron ki asli wajah yahi hoti hai.

Dar ka ek aur kaaran bhi hai voh hai aasakti (attachment). Hum apni aas paas ki cheezon se aur logon se itna lagaav rakhte hain ki aksar unhe khone ka dar humein laga rehta hai.

Apna parivaar khone ka dar, apna ghar khone ka dar, paise naa hone ka dar vgerah vgerah.

Magar iska ek ilaaj hai aasakti ka bilkul virudh anaasakti ( detachment) . Jiss din hum iss baat ko apne dimaag mein utaar lenge ki yeh shareer, yeh aas paas ke log , yeh mulyavaan cheezein sabh udhaar ki hain ussi din hum dar se mukti paa lenge.

Jiss din hum yeh samajh jaaenge uss din hum apne parivaar aur doston ki ahmiyat jaan jaaenge. Hum chote chote palon mein bhi khush rehne laggenge.

Toh dar zaroori hai. Zindagi mein dar hona hi chahiye magar usko sirf ek 'signal' ki tarah dekhna chahiye. Woh koi dushman nahi hai humaara. Humaara dost hai jo humein raasta dikha raha hai.

Dar acha hai.

Latest Stories