Holi toh tum ho, holi ka har rang tujhme hai, holi ka jashn tum ho. By Ali peter john By Team Bollyy 18 Mar 2022 | Updated On 18 Mar 2022 13:30 IST in Ali Peter John New Update Follow Us Share Tumhari zulfon me woh raat hai Jisme holi se zyada kitne sare rang chhupe hue hain Tumhare aankhon main woh sare rangeen nazaarain hai jo aaj tak insaan ne hi nahi, khuda ne bhi nahi dekha hai Tumhare hothon par woh holi k geet hai jo aajtak kisi Rafi ya lata ne nahi gaye hain, na kisi bakshi ya sahir ne nahi likhi hai. Tumhare badan mein woh mehek hai jo aajtak aurat ko banane wale ne taraasha hi nahi, ek bahut hi badi bhul kithi khuda ne aur ab uske us bhul ko tumhe sudharna hoga tumhari mehek se! Tumhari chaal me aur tumhare har kadam me hai woh, chhand aur rang jo aur kisi me ho hi nahi sakti. Tum toh bas ek khuda ka diya hua khubsurat tohafa ho insaan ko ye dikhane k liye ki ane wale holi k din, dopeher aur ratein tumhari jaise hogi. Aur agar yahi wada raha khuda ka toh hum taqayamat rukne k liye taiyar hain, tumhari ek jhalak dekhne ki, dikhaogi na jhalak ae khubasurti ki mallika. Happy Holi Related Articles Advertisment Latest Stories Read the Next Article