ALI PETER JOHN And AARTI MISHRA
Kya baandhoge rishte resham ki dori se...
Hawa ka ek jhonka hi kaafi hai isse todne ko...
Mohabbat ke dhaagon mein baandh ke dekho,
Uske aage aandhiyaan bhi kamzor pdd jaaengi.
Kya baandhoge rishte chandi ki dori se...
Ek paani ka ghada hi kaafi hai isse todne ko...
Vaadon ke dhaage se baandh ke toh dekho,
Uske aage bade samandar bhi kamzor pdd jaaenge.
Kya baandhoge rishte sone ki dori se...
Ek bache ki taaqat ki kaafi hai isse todne ko....
Vishwaas ke dhaage se baandh ke toh dekho,
Uske aage poori duniya bhi kamzor pdd jaaegi.
Kya baandhoge rishte peetal ki dori se....
Ek pathar hi kaafi hai isse todne ko...
Gaurav ke dhaage se baandh ke dekho,
Uske aage bade bade parvat bhi kamzor pdd jaaenge...
Resham, sona, chandi, peetal yeh sabh kya karenge uss kalaai par,...
Bas ek mohabbat ka dhaaga ek doosre ke dil me baand do,
Mat tauheen karo iss bhai behen ke atoot rishe ki .....
Chodo in dhaagon ko bas aatma se aatma ko baandh do.
Waqt ke aage toh itihaas ki bhi koi aukaat nahi...
Magar iss bandhan ke aage toh waqt bhi jhukta hai,
Bas inn rasmon rivaazon ko jaane do.