MERA TUMHARE LIYE MOHABBAT KHUDAH BHI CHHINN NAHI SAKTA, KOSHISH KAR KE DEKH LE .... By- Ali Peter John By Team Bollyy 26 Oct 2021 | Updated On 26 Oct 2021 14:15 IST in Ali Peter John New Update Follow Us Share Woh saare ghar gir gaye jisme tum aur hum kabhi rahte the aur apna ghar bananeka sapna dekha karte the - Ali Peter John Woh chote chote pahaad, woh chote chote pool, woh bade bade ped aur un par chote chote khoobsurat phool ko insaano ne apni apni khushi ke khaatir khaatma kar diya. Woh girja ghar jiske ird gird hum duaa maangte the, lekin din mein sapne zyaada dekha karte the, woh saare girja ghar ko giraaya gaya aadhunik duaa maangne ke mahalo ke liye. Woh saara ka saara maahol aur mausam hi badal gaya ya badla gaya insaano ke laalchi haatho se aur pattharo ke dilo se. Woh mera aur tumhara chhota sa pyaara sa aur nyaara sa gaon pattharo, ret aur mitti mein khovi hui ek udta huva patta hai pichle zamaane ka joh aaj ke bedard zamaane mein sahara khoj raha hai. Sirf tumhari aur meri hone ki khushboo aaj bhi hawaaon se aur fizaaon se lad kar zinda hai aur lagta hain zinda rahenge. Aur jab main tumhare aur mere marte huve gaon se aasun bahaate huve nikal tha hoon, tumhara ghar jahan tha, wahan se ek akela gulmohar ka ped mujhe bulaata hai aur kehta hain " main sirf tumhari mohabbat ki kahani sunaane ke liye jee rahi hoon. Maine tum jaisa deewana mohabbat karnewaala kabhi dekha nahi aur tumhari mohabbat ka anjaam dekhe bina main iss duniya se jaaungi nahi ". Dil toot jaata hai tumhare aur hamaare gaon mein, lekin uss gulmohar ke ped ne mujhe bulaaya hai mere mohabbat ka jashan manaane ke liye Mai ( May) ke mahine main. Main kya karoon, jaaoon ya na jaaoon, pahele toh har baat main tumse pooch kar karta tha, abb kisse poochkar karoon, ae meri zindagi aur jaan aur shaayad mera khoobsurat anth. Related Articles Advertisment Latest Stories Read the Next Article