Advertisment

Pankaj Tripathi gets candid with Neha Dhupia on JioSaavn #NoFilterNeha Season 5, says Jyothi Venkatesh

author-image
By Team Bollyy
New Update
NoFilterNeha

On keeping it low

Bohot accha lag raha hai, aur iccha hai 2-4 mahine ghar pe baithne ki. Kyunki mujhe chutti ki sakht zaroorat thi aur main rehta hoon badi sundar jagah pe, charon taraf jungle hai, shanti hai. Aur thode din rahunga. Haan, abhi se, abhi se lag gaye hain log peeche. Lekin ab thoda kam karna hai, bohot ho gaya, too much acting ho gayi thi. Pichle 2-4 mahine ke lockdown ne thoda spiritual bana diya hai mujhe.

On his spiritual and philosophical side

Bachpan se toh bilkul nahi, but naya bhi nahi hai. Asal mein kya hai na ke main apni journey mein bahot kism ke logon se mila hu, ek se ek philosopher, darshenik, samajh lijiye half mind pagal, samajdar, sabke sath jeevan guzara hai toh aap jab bahot ghaat ka paani peete haina, toh ek kahavat hai, ‘Ghaat ghaat ka paani peena’.

So, maine almost Hindustan ki saari nadiyaan hai na, unke saare ghaat ka pani pee chuka hu toh isliye aise gyaan ki aur philosophy ki baatein ab mujse aise sadharan tarike se karne lagta hu, anjaane mein karta hu, main nahi chahta hu aisa sound ho mere se ki main aise kuch spiritual aur intellectual type ki baatein karta hu. But pata nahi, ho jaati hai, mere se control nahi hota, behek jaata hu

Pankaj Tripathi during the lockdown

Main kuch nahi kiya, kuch nahi. Ghar mein beth ta hu, sham ko walk karta hu. Abbhi mujhe achanak khayal aaya ke receiver wali kari na apne, receiver aap nahi sikha, please mat sikhna, kuch mat sikhna. Kyunki kya hai na, main inn dino mein dekh raha hu, humare aas paas na itne zyada motivational speaker hai na, aur itni zyada motivational ghatnayein ho rahi hai ki mujhe lag raha hai aane wale dino mein log motivation se darr jayenge.

Mujhe lag raha hai, aane wale waqt mein aadmi fooga banke udne na lag jaye aasmaan mein. Toh itni hawa bhari jaa rahi hai inspiration ki

When he played a girl

Main 10th mein tha, dasvi class mein. Toh pehli baar ladki bana tha who isiliye ki mere gaon mein jo ladki ka role karta tha, wo uss saal nahi lauta shaher se. Toh uss saal hua ke natak nahi hoga kyunki female ka part jo karta hai wo aaya nahi. Toh phir maine bola main kar lunga. Toh humare director the ek Raghav Chacha karke, gaav ke, toh unhone bola ke pehle apne pitaji se jaake puch le ke wo taiyaar hai ke nahi kyunki phir pata chala ke tumhe humne ladki bana diya, who dekhe aur wo naraz ho gaye ya lathi leke chad gaye stage pe ki kya kiya.

Mere babuji ne mana nahi kiya, bole tumhe jo karna hai karo, hume kyun puch rahe ho. Aur uske baad na humare yaha natakon mein na beech beech mein kahani chal rahi hai aur Hindi cinema ki tarah gaana aa jayega, song, jiska uss kahani se koi lena dena nahi hai toh aisa dance bhi kiya tha maine beech mein item song. Toh bahot pasand kiya logon ne nachna, ke arey yeh toh bahot hi accha nachta hai, bahot hi badhiya naachta hai yeh. Humare gaon mein ek buzurg the toh unhone bola tha yaar tumhe Mumbai jana chahiye…ke agar yeh ladka agar Mumbai chala gaya toh badi badi heroinon ki chutti ho jayegi. Heroino ki chutti kaise ho jayegi, toh bole wo jitni bhi heroine hain wo ladkiyaan thodi hai, wo sab ke sab ladke hain.

Unhe lagta tha ke jo purane Hindi cinema mein jo actress hai darasal wo male hai jo female ka part karte hain. Unka mindset hoga, woh gaon mein rehte hai, pure jeevan sochte honge, toh shayad unke liye yeh sochna ki female bhi yeh performing art mein dance, drama mein aa sakti hai unko lagta hoga yeh sab jhooth hai toh khair. Mujhe malum tha Mumbai bahot durr ki cheez hai aur Mumbai mujhe tab aana bhi nahi tha, tab thodi na malum tha ki actor banunga, woh toh shaukiya kar rahe the bas

When and why he came to Mumbai

2004 mein 16 October ko. Yeh sab karte karate Patna gaya, Patna mein theatre kiya 7-8 saal, 24x7 almost 4 saal lagatar maine theatre kiya phir laga acting ki training bhi kar leni chahiye. Theatre hi karna tha, tab bhi cinema mein nahi aana tha mujhe, tab bhi theatre karna tha. Phir drama school chala gaya. 3 saal wo training puri karke wapas Patna gaya. Patna mein 2-4 mahina raha, usmein realise hua ki bahot mushkil hai Hindi theatre karke survive karna. Then Mumbai aa gaya.

Phir laga ki Bombay mein chalo wahi chalte hain, kamse kam apni toh rozi roti chal jayegi. Ki mein jo kaam hai, Jo kaam mujhe pasand hai ussi kaam se main apna ghar chala paunga. Issi liye Mumbai aaya, Mumbai main hero banne nahi aaya tha sirf survival ke liye aaya tha ki jiss kaam mein maza aata hai uss kaam se rozi roti chahiye toh Mumbai mein hi milegi.

On his plan of action when he came to Bombay and how he pataoed his wife

Nahi nahi, planning kiya tha na, ek samajdar ladki se shaadi karli thi - mehnat se, mehnat se. Woh teaching mein thi. Maine hi bola B.Ed karlo, aur B.Ed karlo toh Mumbai mein teacher ban jaogi, ghar bhi chalte rahega aur main bhi acting ka try karte rahunga, toh planning yehi thi

Why he feels he and his wife are the prefect pair

Hum dono mein khasiyat kya hai ki main apni zindagi ki aadhi life maine almost, 45 ka hua mein, toh 23 years main gaon raha hu, bilkul gaon mein, ekdam rural India, ab sadak mere gaon pohonchi hai aur meri wife hamesha metros mein rahi hai, Who Kolkata mein paida hui. Main bada raw material tha, toh unhone thoda sa rasta dikha ke, thoda zindagi ke baare mein samjaya, toh unko dekh dekh ke sikhe toh hum log bohot acche tarike se ek rural aur ek metro ke mile jhule roop hai hum dono.

Kyunki dono ki apni apni experience hote hai, apne apne samaj hoti hai - ek metro life ki aur rural life ki. Luckily humare ghar mein dono hai. Matlab agar wo nahi hoti thi toh mein toh aisa tha ki bola na mein ke sadhuon ke sath betha tha Banaras mein. Abhi bhi main kahin kisi sadhu ke sath kahin Himalaya mein baitha, pravachan kar rahe hote

On love for this land

Itna khubsurat hai na humara desh. Jitni khubsurati hai, utni diversity hai, itni vividhta hai, har cheez mein - language mein, landscape mein, food mein, culture mein, forest mein. Main dekhta hu aksar ki North India mein paida hone wale vyakti apni puri zindagi mein South India nahi dekh pata hai, zyadatar log. Jahan jitna dekhte hai unko lagta hai dunia itni hi hai. Aap ghumte ho, dusri jagah pe jatey ho toh lagta hai dunia bohot badi hai aur humari soch jo thi wo sirf jahan the wahan tak seemit thi.

Jaise pichle dino main Meghalaya mein tha, pichle saal, Dawki river mein. Dawki ek nadi hai Meghalaya mein aur wo cleanest river hai. Ussmein riverbed jo hai wo 30 ft neeche hai, waha ka stone dikhta hai upar se, pani ke upar boat leke jao, itna khubsurat desh hai , aur jab hum ghumte hai, logno se milte hai, alag alag landscape dekhte hai toh lagta hai bohot kuch jaanna baki hai.

On handling fans during holidays

Mujhe pehchan lenge, mujhe koi dikkat nahi hai. Main bhi toh apki tarah abhineta hone ke sang sang ek common aadmi hu, mera bhi rights hai ki main bhi ghum saku. Toh aap bilkul bhi anyartha na le, aur tasveer bhi naa le aur bura bhi naa mane aur mujhe bhi ghumne de. Toh 2-4 logo ko samjhata hu aur jab lagta hai zyada pareshani ho rahi hai toh muffler muh pe bandh lete hai, gamcha lapet lete hai

On his struggle and the key to becoming an actor

In fact nahi tha bahut zyada. Abhi main sochta hu toh mujhe bhi lagta hai 9 saal kaise guzre honge, mujhe yaad bhi nahi hai theek se. Main aksar bolta hu ke yaar bheed bohot hai, bohot saare ladke pure Hindustan se, humari tarah chotey chotey jagah se aate hai abhineta banne. Mauka milna utna hi kathin hai, mushkil hai, mathe pe likha nahi hai ke tum talented ho. Jaise iss desh mein ek bank PO ka, clerk ka job paana mushkil hai, utna hi ya usse zyada mushkil hai actor banna. Kyonki bheed toh har jagah hai. But same time, mujhe struggle as such uss kisam se struggle nahi laga.

Main maan ke aaya tha ki bohot pareshaniyaan hongi, bohot jaldi mujhe koi accept nahi karega, aur koi kyun karega accept mujhe. Toh thoda mushkil hai, koi kaise samjhe ke yeh talented hai. Ab bolo mauka do toh pata chalega ke yeh talented hai. Wo bolte hai hum talented logo ko mauka dete hai, ab unko kaise pata chale ke main talented hu. But same time main maan ke aaya tha ke waqt lagega, bohot waqt lagega. Humare andar ek self-assessment hona bhi zaroori hai ki mein actor kyun banna chahta hu. But bahot saare baccho ko main dekhta hu aur mujhe lagta hai yaar inn logo ne assessment uss tareeke se nahi kiya hai.

Main hamesha iss baat se daihit kehta hu ki actor ke liye jaise ek nuerosurgeon ke liye training zaroori hai, ek architect ke liye training zaroori hai, ek engineer ke liye training zaroori hai tabhi aap koi bhi infrastructure aur design ya ek koi pul banate hai waise hi ek actor ke liye training bahot zaroori hai kyunki humari jo art hai na, performing art, wo zindagi ke bahot aas paas ki hai. Zindagi mein hum prem karte hai, gussa hote hai. Toh kai baar hume lagta hai ki hume pyaar karna toh aata hai na, hume gussa hone aata hai, hume rone aata hai, toh yahi hume scene mein karna hai wapas. But mujhe lagta hai training bahot zaroori hai phir chahe wo kahi se bhi ho, kisi bhi prakar se ho.

Ek actor ke liye training bohot zaroori hai. jitni art ko jante ho, apne abhinay ko, craft ko jante ho utne hi apne khud ko janne lagte ho. Woh self-exploration bhi bahot zaroori hai. Wo khudko explore karna wo travelling ke through bhi hota hai. Jab travel karte hai jitna dunia ko dekh rahe hote hai uss se zyada khud ko dekh rahe hote hai, travelling ke darmiyaan.

On his mantra in life

Ek ummeed pe kayam hai. Ummeed toh nahi chodna chahiye humein kisi bhi haal mein. Ummeed hai toh sab theek hoga. Jaise iss waqt Corona chal raha hai, puri dunia lagi hai, science fraternity laga hai dawaiyaan explore karne mein but hum ummid kar rahe hai na ki iss virus se hum ek din jeetenge. Toh ummid jo hai na, aur positivity apni bacha ke rakhna.

On his perception of people and how he thinks people credit the actor for a well written role

Nahi, mujhe kabhi nahi hota hai. Mere liye actor se aur co-actor se zyada zaroori hai samne wala human being. Mein bahot prem wala vyakti hu. Craft mein koi unch-nich 19-20 ho sakta hai, admi 19-20 nahi hota. Toh do individual milte hai, so wo do khubsurat atmaayein hai, do soul hai, usmein kisiko kisike craft aur kisike samaj ke adhaar pe bilkul judge nahi karna, toh mere liye wo hai, mere liye imaandari, masumiyat, sacchai, samne wale individual ko prem karna, aur usko adar dena mere liye zyada important hai, samne wala kitna anubhavi hai, kitna kharab actor hai, accha kharab kya hota hai, hum bhi ek din kharab actor the, aaj bhi kharab actor hai, aur acchi acting kya hoti hai, kisi ko malum hai kya, perfect acting bolke kuch nahi hai.

Kahaniyaan kahi baar humare mulk mein acche likhe hue role ko accha actor samaj leti hai log. Alag cheez hai. Kahi baar acche likhe hue role ko jo actor play hai wo log bolte hai brilliant actor hai wo logo ko malum nahi wo brilliant writing hai, jisne likhi hai uss kirdar ko. Toh mera toh pura manna hai ki ek sundar, badhiya script hai bahot mushkil hai kharab film banana

On his worst audition experiences

Yaad karna mushkil hai. Itna saara worst hua hai ki mujhe yaad hi nahi hoga usmein se ek ko chun pana. Bahut saare, matlab audition toh kya hum toh kahin baar audition gate khole hi woh ladki casting wali ads mein, khas kar, Aaram Nagar mein aur woh not fit, not fit, not fit, toh woh audition gate ke bahar se hi not fit ho jaate the. Usse worst audition bhi nahi bol sakte hai. Kyuki audition hua hi nahi. Gate se, aisa.Nahi, woh toh sahi, prem hai. Woh not fit bolti toh main fitness pe dhyan kaise deta. Mere zindagi mein worst bahut kum hua hai har maamle mein.

Jabse casting directors’ ka concept aa gaya, thoda ek tareeka behtar ho gaya. Pehle toh mujhe yaad hai ki mere jo senior actor the, milte hai log shoot-voot pe, bolte the yaar hume toh kitna mushkil hota tha. TV tha nahi, ek Zee TV naya naya aaya tha, Doordharshan tha thoda sa.

Filmo mein set pattern tha, ek hero-heroine, inspector, vakeel aur doctor. Doctor, vakeel aur inspector fix the, toh naye talent ko mauka kaise milega? Matlab Bandit Queen aayi aur Bandit Queen se bahut saare naye log, naye abhineta aaye the. Toh Satya aur Bandit Queen, yeh do film mujhe behad pasand hai aur yeh do filmon ne acting mein aur actors ke liye ek nayi generation laayi thi

On his prep on the sets of Gangs of Wasseypur

Yes, yes, wo actor ko chod dete hai bahot. Kashyap ki acchi baat yeh ki who jiss actor ko trust karte hai, usko cast kar liya usko chod dete hai ke karo tum. Bohot galat karte hai toh rokte hai ki aisa kyun kiya, unka process bahot accha hota hai ekdam mazedar hota hai. Even unke Wassepur ke jo DP the Ravi sir, toh wo toh aise hai ki wo actor ko mark bhi nahi dete hai, bolte hai tum dekhlo tum kaha aaoge, mark nahi dete hai tum batao tum kaha rukoge. Nahi, nahi, rehearse karte hai aur wo bolte hai rehearsal mein ke aap dikha do aap kaha tak jaoge.

On getting stereotyped in the industry

Wasseypur ke baad mujhe aise har kisine uss Sultan kism ka ek butcher ek bahot hi aggressive, ek negative kirdar aane lage, aise lagta tha ki script ke saath saath who chaku bhi leke aayenge mujhe dene ke liye. Yeh aapki script aur yeh aapka props. Chaku leke ghumta hai character.Halaki inn dino break ho raha hai mein jaan ke kiya, jaise Wassepur ke baad mujhe mauka mila Masaan mein ek chota part tha, lekin bahot hi simple, sadharan, sweet se admi ka, toh mene bola mein yhe karunga, Neeraj ki film thi, Neeraj Ghaywan ki.

Toh chota part tha lekin bilkul alag tha Wasseypur se toh excitement chahiye mujhe acting ke liye, agar mujhe excitement na ho mein kaise abhinay, acting karunga. ki aap mujhe paise bhi excite nahi karte hai, pehle karte the ki kayi baar payment accha mil raha hai toh chodo yaar role. Mere liye abhinay pehle career tha aur pehle naam, dhaam, paisa tha. Abhi mere liye abhinay naam, dhaam, paisa career hone ke sang sang ek waisa part ho gaya jisme maza aana chahiye mujhe.

On his plans on taking sanyaas

Na, na, na, no, no, Bilkul nahi. Asal sanyasi jo hai na wo hota hai jo shadi shuda zindagi mein pariwaar ke sath rehke, samaj mein rehke apna art practice kare. Mein kahi nahi jane wala hu, bilkul acting karne wala hu, aur aisa nahi hai mereko paiso moh khatam ho gaya nahi toh producer kam paise denge, bolenge aapko toh zaroorat bhi nahi hai

On Boney Kapoor’s compliment on playing Janhvi’s reel father

Main, in fact, sunke bhavuk ho gaya tha kyun ki meri bhi ek beti hai toh mein ek pita ka beti se judav janta hu. Woh mujhe accha bhi laga aur mujhe laga ke kitna inko film ne ya meri aur Janhavi ki chemistry ne itna impact kiya inke upar ki aisi line bol raha hai ek pita, ek real pita, reel pita ke baare mein. So, main bada emotional ho gaya tha sunn ke

On criticism and the business of art

Jitne sare log hai na dunia ko theek karna chahte hai, correct karna chahte hai, hum sab theek karna chahte hai, mein bhi, aap bhi aur wo bhi. Lekin hume lagta hai ki tumhara theek theek nahi hai mera theek theek hai, number 2 part, humare desh, mulk ke log bahot pasand karte hai cinema ko, aur cinema ke sang sang cinema ke actors ko bahot pyaar karte hai, bahot zyada pyaar karte hai, humare desh mein.

Teesri chiz yeh hai na jo yeh filmmaking, entertainment aur storytelling ek form of art hai lekin jab wo art distribution mein jati hai toh business ho jata hai toh cinema basically business of art hai. Mujhe lagta hai business shabd aate hi yaha phir moral, ethics, fair, unfair se zyada, munafa aur nuksaan important ho jata hai. Business mein moral aur ethics nahi dekhte hai, business mein profit dekhte hai. Ek line may mein simple kar deta hu maine faltu may ghuma diya, ki yes ye duniya me sab chahate hai ki fair ho, sab ke sath justice ho, sab khush rahe, hum sabko prem chahiye, hum sabko prem dena chahate hai lekin hame lagta hai ki prem dena ka tarika tumara galat hai mera sahi hai. Plus fair-unfair hum sab chahate hai ki behatar ho.

On the power of the audience

Mai ek gaav ka ladka, dur dur tak jiska cinema se koi lena dena nahi tha, woh cinema me aata hai, cinema ka hissa banta hai aur apne marzi se kam aaj kar raha hai, toh meri journey apne aap me sare ism, nepotism, ye ism woh ism ko break karti hai. Kisi bhi parivar se aate ho na, theek hai ki aap ek filmy parivaar ka baccha ho koi aur usko koi filmy parivaar launch kar de. Yeh audience itni democratic hai na hamari wahi audience jo filmo me nepotism ka khilaf karti hai, agar aap mein talent nahi hoga, toh apko inkar kar degi.

Aap audience ke intelligence pe aur audience ke choice pe hum sawal nahi paida kar sakte. Agar koi average abhineta superstar hai, toh uske piche bhi wahi log zimmedar hai. Aapne usko pasand kiya hai. Aap ne usko chaha hai isliye woh superstar hai, bhale woh average ho ya kuch bhi ho. Mein average nahi bol sakta hu, mein bolunga woh great hai. Ye bada complicated hai, ye bada one dimensional nahi hai, black and white kuch bhi nahi hai ki ye sahi hai, ye galat hai, bahut grey area hai

On Mirzapur 2

Bahut brilliant, iss bar ki writing mujhe behad pasand hai. Complex badh gaya hai, entertainment bhi badh gaya hai, toh mazedar hai, bahut mazedar hai. Main kafi excited hu, excitement hai ki dekte hai audience kis tarike se leti hai usko

On the noise funda on sets

90% set jo he na ek film industry ka contradiction dekhiye, cinema industry ka, sare light department ko, AD department ko, falana department ko, har department ke paas film ke set pe aaj ke waqt mein almost 100 ke aas paas walkie hote hai, aur uske baad ek loudspeaker hota hai first AD ke paas, jo usme chillata hai. Dono lane ki kya zarurat he

On the food situation on set

Main aapke show mein bata du, main 99% set ka khana nahi khata hu, main apna ek cooker rakhta hu, thodi sabziya aati hai sheher aur thoda chawal dal main ghar se le jata hu, aur main apni Khichdi apne van ke andar banata hu induction pe. Aur ek ladka hai mera Ikaas karke, aur Naresh, woh dono bhi acche cook hai, toh hum teeno milke andar andar bana lete hai

On which set did he make the best of friends

Sare set pe, meri khasiyat hai na ki mere sath jo bhi banda shooting karega na woh mera dost ho hi jayega uss set pe. Jitne din shooting chal rahi hai, shooting khatam hui phir bhi khatam nahi hoti hai. Uss se baat karunga 6 mahine baad toh aisa lagega hamari kal hi baat hui thi .Toh main jis set pe hota hu puri unit meri dost hoti hai even lightman se leke aur sab A – Z

On Which film he got the most paid for

Yeh toh bada kathin sawal hai, toh aap woh bol rahi he na ki matlab dhan (money) ki baat he. Inn dino iss set pe lagta hai ki abhi jo picture kar raha hu voh sabse…last one jo last shooting ki hai na qoh. Kyuki har film mein, main apne pichla record paise ka todte ja raha hu.

Advertisment
Latest Stories