Advertisment

REKHAJI , TUMHAARA KYA KAHEN ? TUM TOH TUMHARE ISHWAR KE AJEEB RANGO SE RANGEE HUI EK GAJAB KI HOLI KI JASHN HO , MAASHAALAH !.....

author-image
By Team Bollyy
New Update
UR EK SITAARA JISKA AAGHAAAZ BHI LOGON KO NAHI PATA HAI AUR ANJAAM BHI NAHI AUR JO BADI BHI NAHI AUR CHOTI BHI NAHI, JO SIRF HUMEHSA HAI.

Jaane woh kaise ajeeb aur zaroor gareeb mijaaz ke log hoge jinhone tumhe kaali kalaouti kaha tha jab tum paheli baar Mumbai aayi thi ? - Ali Peter John

publive-image

Jaane woh kitne badameez insaan hoge jo aapki tauhean karne mein maze lete the bina ye jaane ki tum uss uparwaale ki banayi gayi khaas tohfa hai zameen waalo ke liye, Jaane woh kaise log the jine tumhara mazaak udaane se apna apna faaidaa hota tha. Aur phir jaane kaise tumne unn saare logo par apna jaadu chala diya apna har rang badal kar

Tumhari aankhen woh aankhen nahi rahi jisse tum duniya ko dekha karti thi , tumhaari aankhen jisko dekhti thi woh dhanya ho jaati thi aur zyaada khoobsurat lagni lagti thi

publive-image

Tumhaari zulfo mein chhupi hui thi woh saare raaz jo khud khudaa ne duniya se chhupaayi rakhi thi.

Tumhaare zulfo mein woh gajre ke phool tumhaare goon gaate rehte hai rat aur din, aur na jaane raat mein tumhaare baare mein kya kya baatein karti hai aur unka husn aur haseen ho jaata hai jab woh tumhaara naam ka zikr bhi karte hai.

publive-image

Tumhare maate ka sindoor aur uska rang aaj bhi duniya ko pareshaan kar raha hai aur duniya pooch rahi hai ki aakhir ye sindoor tumhare maate par kisne lagaaya hai.

Tumhare sapne toh kisine aaj tak toh dekhe nahi hoge , lekin mujhe yakeen hai ki jis din tumhaare sapne aur tumhaari aasoon ka ek boond bhi duniya par giregi

publive-image

Uss din tumhaare khudah , tumaari kaaenaat aur tumhaari kudrat sabka rang badal jaayega aur sab kuch , pyar , mohabbat , ishq aur jeena aur marna bhi badal jaayega , saare rang badal jaayenge , sirf ek rang reh jaayega , tumhara rang , Rekha ka rang , sirf aur sirf Rekha ka rang, Holi bhi manaayi jaayegi toh Rekha ke naan se manaayi jaayegi , kyoonki Rekha hi Holi hai aur Holi sirf Rekha hai

Advertisment
Latest Stories