/bollyy/media/media_files/uploads/2021/06/VRADDHI-SHARMA.jpg)
Up and coming promising starlet Vraddhi Sharma, who is right now spending time with her family in Jabalpuras a result of lockdown has written this poem in Hindi exclusively for the readers of bollyy.com as well as Mayapuri - Jyothi Venkatesh
The versatile actress who is a MBA in Marketing has already acted in quite a few TV serials like Ram Milayi Jodi, Shhh Phir Koi Hain, Pyar Ya Dehshat,Police File,Kanapushi, Sajna Hain Mujhe Sajna Ke Liye, besides a few films like Uvaa, Agneepath.
Standby, A Strange Love Story, Hotel Mumbai and Vjpath ( in a central role) says that she is extremely frustrated because she has not been able e to do satisfactory work in either TV serials or feature films every since the lock down was clamped and is actually whiling away her time doing nothing else but home work at her hometown and is very keen on coming back to Mumbai where work beckons her.
Her poem is as follows:
Khushnuma Si Zindagi Thi Haste khelte nikal jate the din,
Yaaro ke beech shaam
Subah apna kaam ..
Khushnuma si zindagi thi
Achanak na Jane kya hua
Hawa ka rukh badal gaya
Kuch sanata sa ho gaya,
Khamosiya cha gayi
Insaan..insaan Milne se darne laga ,
Pata nahi kya khata hui ?
Jo humne khud hi ka muh Dhak liya
Ek dusre se muh Chupa ke raah main chalne lage
Kuch toh humse khata hui hain
Jo zindagi saza ban gayi hain
Viraniya hain chaaro taraf
Aansu (tears) bhi sukh gaye hain
Shayad yu hua insaano ka humne istemaal kiya hain
Aur cheezo se pyar
Kudrat se humne khilwad kiya
Dekh lo uska kya natiza mila hain yaar
Janwaro ke saath durvyavahar kiya
Unke dard ko nazarandaaz kiya
Dekh lo uska kya natiza mila hain yaar
Kuch toh humse khata hui hain
Jo zindagi saza ban gayi hain
Muskrate chehre gum ho gayi
Wo dil se khilkilati hasi na Jane kaha gayab ho gayi
Samandar ki lehre yaad aati
Wo har shaam dosto ke saath jhund main bethna
Aur ek dusre ko aas dena ki zindagi khubsoorat hain
Wo khushnuma lamhe bhi gayab ho gaye
Kuch toh humse khate hui hain
Jo zindagi saza ban gayi
Phir bhi aas nahi chodenge
Himmat nahi todenge
Hum khud ko Badlenge
Phir se wo Khushnuma sama aayega
Phir saath milkar hum sab hasenge
Jeeyenge aur pragati ki aur aage badhenge
More Photos: