Aaj ek nausikhiya ek manjhe hue adakaar se mili...aisa laga
Maano
Achaanak dharti pe baith ke aasmaan ko dekhne vaali ek chidiya , aaj khud aasmaan mein udna seekhne lagi ho.....
Maano, paani ki talaash mein bhatakte ek musafir ne samandar dekh liya .....
Uss aasmaan, uss samandar ka naam Naseeruddin Shah hai jo ek manjhe hue kalakaar hain.
Prithvi jaise naami Theatre mein ek play 'Einstein' ..jisse dekhne ka mauka mujhe mila. Mehez ek play hi nahi khud mein ek anubhav tha... voh jo uss 1 ghante 45 minute ke play ne humein jo sikhaaya ,voh koi school bhi nahi sikha sakta .
Naseer sir khud mein hi ek school hain. Jiss tarah se unhone akele hi itne samay tak poori stage ka bakhoobi istemaal kiya , shabdon ke saath khela , voh qabil-e-taaref tha . Jab voh perform karte hain toh poori Janta khamosh...bas unke alfaaz poori fiza mein goonjte hain.
Hum aise khush qismat the ki hume unse rubaroo hone ka mauqa mila. Voh aam zindagi mein itne saral vyakti hain aur yahi unke vyaktitva ki sabse khaas baat hai. Unhone humein uss 10 minute ki mulaqaat mein zindagi bhar ka paat padha diya.
Jab tak duniya mein aise chirag roshan hain, tab tak yahaan gyaan ka ujaala humesha phailta rahega.