Main Issaaiyon ke dharm ka bhakt sirf unke guru Yeshu Christ ke wajah se hoon
Meri maa issaiyi thi , lekin woh har daram mein maanti thi aur shaan se manaati bhi thi Jiski misaale aaj bhi dee jaati hai mere gaon mein jo ab bhi zinda hai - Ali Peter John
Lekin meri maa Yeshu Christ mein sabse zyaada maanti thi , jab ki unko Christ ke baare mein wahi jaanti thi jo uske guruone uske din aur deemag mein thos diya tha baar baar
Agar woh Christ ke baare mein kuch sabse zyyda maanti thi toh woh tha Christ ka
hamaare liye crooss par berahemi se maara jaana aur mar jaana apne logo ke liye aur apne dharm aur usoolon ke liye aur teen din ke baad jivit ho kar swarg mein chala jaana jahan se woh aaya tha apne mahan baap ki seva karne ...... Pichle do hazaar saalo se Issaiyi Yeshu ke markar jivit hone ka jashn manaate rehte hai jise woh " Istar" kehte hai..... Main yahi sab baatein soch raha tha kyunki kal , yaane
Ravivaar ko istar ka jashn manaaya jaayega saari duniya mein Aur acchnak main wahi askar khade ho jaata hoon jaha par kahi saal pahele Sahir Ludhiyanvi ka ek chota sa bangla tha sagar ke kinaare.
Ye wahi bangla tha jaha par Sahir Sahab apne pahele maale waale kamre mein akele baithkar kabhi sagar ko kabhi sagar ke lehero ko , kabhi suraj ko kabhi chaand ko aur kabhi sagar ke kinaare ret ko dekh kar duniya ki sachchaai aur geharaayi ke baare mein likh the the, din din bhar aur rath rath bhar
Inhi geharaayione aur ini sachchaaiyo ne Sahir ko duniya ka , zamaane ka aur logo ka shaayar bana diya , aur ye sachchaayi unke dushman bhi maane se inkar nahi kar sakte ....
Main baithkar bungle ko dekhta raha, aur dekha ki unke bungle ka naamonishaan nahi tha aur jahan bungla tha waha deeware banaayi gayir hai patre ki ( steel) jiska matlab Mumbai mein hota hai ki ab woh purana bungla kabr mein band hai aur bahut jald uss bungle ki jagah ek bahumanzil bhootkhaana banega aur jo tha zamaane se , woh kuch nahi rahega.
Maine baithe baithe socha ki agar Yeshu markar jivit ho sakta tha do hazaar saal pahele , toh kya Sahir phir zinda nahi ho sakte , kya Sahir ka raaj wapas chhaa nahi sakta
Aur phir maine socha ki Sahir ko Yeshu bane ki aur phir zinda hone ki kya zaroorat hai jab marne se pahele hi unhone apne aap ko hamesha ke liye zinda rakha unke amar lekhni aur shaayari se
Mujhe maloom hai ki Sahir kabhi mar nahi sakte aur woh tab tak nahi marenge jab tak mere jaise aur laakhon unke dewaane unko zinda rakhenge
SALAAMAT RAHE SALAAAT RAHO SAHIR SAHAB , AAPKO NA SAMAY NA MAUT MAAR SAKTI HAIR INHONE KAB SE AAPKE SAAMNE JHUK KAR APNE SAARE HATYAAR DAAL DIYE HAI. JAB TAK SURAJ , CHAAND AUR MERE JAISE DEEWANE RAHENGE , SAHIR SAHAB AAP ZINDA RAHENGE .